Wednesday 29 January 2014

TAMANNA-E-ISHQ

Ab Tamanna-e-Ishq ka koi irada nahi 
mera
Mai to ab bas chand roz zindagi jine ka shouq rakhta hu,

Chal nahi sakta ab mai dobara dard-e-mohabbat
ki rah par
Ke ab mai har sah ki mohabbat se khouf rakhta hu,

Kya paya tha maine ab kya khone ko
raha hai
Ab to bas mai es zamane ko jeet jane ka hunar rakhta hu,

Milegi manzil meri ek din en anjani
raho par
Isi soch mei mai ab apne dil-e-maqaan mei sabar rakhta hu...



BADNAAM SAKS-E-MOHABBAT

Mai mashoor ni hu mera naam badnami
se har kisi ki juban pe hai,

Ye galat soch hai teri mai to khud
jee raha hu jo zindagi teri pehchan se hai,

Ye sach hai teri mohabbat paak hai saaf hai 
har sacchaai se rubaru behisaab hai,

Mai kaise kah du ki tu meri mohabbat hai
meri mohabbat bhi to suru tere naam se hai,

Na jane tu mujhmei kya dhuntati hai
na jane tu kyu meri tasvir ko chumti hai,

Mai kaise tujhe yakin dilaaon ki
meri muskrahat bhi to tere ehsaan se hai...