Wednesday 14 August 2013

Musalsal Palke Jhuki Rahi

Meri palke musalsal jhuki rahi meri mohabbat ko wo bewjha banata raha,
Har kadam sath rakhta tha mai uske mai ruka to wo fir bhi chalta raha,

Hath thama tha usne ye kaha tha usne ki wada hai mera sath chhodungi na tera,
Wo wada bhi bhula usne irada bhi chhoda bs apni yado se mujhko hatata raha,

Har ada mohabbat ki sikhai thi maine har alfaz mohabbat ke bataye the maine,
Ankho mai khwab sazana sikhaya tha maine par wo khwab kisi aur ke sazata raha,

Uske chehre pe muskrahat hoti jab apne hone ka ehsas hota tha mujhko,
Mai samjhta mai wajha hu khusi ki uski wo kisi aur ke khyalo mei muskrata raha,

Ye inayat thi uski ya mohabbat thi uski yahi bat mei dil ko samjhata raha,
Meri palke musalsal jhuki rahi meri mohabbat ko wo bewjha banata raha...