Friday 22 February 2013

Bewafaai

Aaye the tere daman mei khusiya dalne
phir tune daman kyun failaya nahi,

kya kami rah gai thi mere aane mei jo dekh ke 
teri aankho mei ashq kyun aaya nahi,

Mai tha itna dur tujhse itne din esmei meri
khata to na thi
phir bhi meri khatir tere dil mei ek zarre
ka bhi rahem kyun aaya nahi,

Mai phir bhi sunata raha tujhko apni majburiya
sab sunkar bhi tune mujhko gale se kyun lagaya nhi,

Mai phir us rah pe chal pada jo chhodi thi maine
par ek bar bhi tune mujhko kyun bulaya nahi,

Aaye the tere daman mei khusiya dalne
phir tune daman kyun failaya nahi....


Thursday 21 February 2013

Pehchan

Har taraf  andhera hai aaj mai bas ujala chahta hu,
Mai fir se apni ek alag duniya banana chahta hu,
Mujhse Zindagi naraz hai ye malum hai mujhe,
Par ek bar fir mai apni zindagi ko manana chahta hu,
Koi saath de ya na de ab fikr nahi hai mujhe,
Kyunki umr bhar ab mai tanha khud ko chalana chahta hu,
Jo khoi hai maine apni gururiyat ki pahchaan,
Ab fir se wahi pahchaan mai apni lana chahta hu....


Wednesday 20 February 2013

Zindagi

Phir kyun humein tum palko pe bithate ho,
Phir kyun humen tum dil se lagate ho,
Jab dard ke alawa kuch nahi dena hai,
To mere dard ko apna dard kyun banate ho,
Jalate ho gar tum mujhko roshni ke liye,
To jalakar humko phir kyun bhujate ho,
Agar ho gaya hu gumnam mai sirf tere liye,
To meri yaado se apni ankho ko phir kyu rulate ho,
Mujhko meri zindagi se door karna hi hai agar,
To meri khatir dua ke liye haath phir kyun uthate ho....