Thursday 23 May 2013

Koi Hai



Koi hai jo mere khwabo ko ankho mei sajaye hai,
Koi hai jo mere dil ko apne seene se lagaye hai,

Koi hai jo mere sath umr bhar chal sakta hai,
Koi hai jo mere liye khud ko rakhe sajaye hai,

Koi hai jo mujhse etni mohabbat kar sakta hai,
Koi hai jo meri mohabbat se aash lagaye hai,

Koi hai jo meri yaado se rishta jod chuka hai,
Koi hai jo meri yaado ko khud mei basaye hai,

Koi hai jo mere aane ki raah dekhta hai har waqt,
Koi hai jo meri khatir palko ko bichhaye hai,

Koi hai jiska naam `Ghazal` bankar ubharta hai,
Koi hai jisko hum apne jism ki rooh banaye hai….


Tuesday 21 May 2013

Alvid-e-Yaar



Tere aankho ke aasnshuon se ek din ghir jayenge hum,
Tere har un khwabo ko pura kar jayenge hum,

Utha kar ek muthhi mitti dal dena kabr par meri,
Us mitti ko pa ke behad khus ho jayenge hum,

Mere jaane ka dukh to hoga bahut tuhko jaana,
Magar tujhe fir se naie duniya de jayenge hum,

Khus rahna abaad rahna jis mehfil mei jana tum,
Na karna khyal mera shayad waha na aa payenge hum,

Chalo jo bhi hua achha hua bhool jana tum har wo pal,
Hum to gujre huye kal hai tere aaj mei na badal payenge hum……


Sunday 12 May 2013

Junnat-e-Maa

Wo Maa hi hai jo  har bar mere baare mei soch leti hai.!

Meri bhigi palko ko apne aanchal se pochh leti hai,

Wo Maa hi hai jo  har bar mere baare mei soch leti hai.!

 Mai jab bhi apne dard se behaal ho jata hu,
Wo mujhe dekh ke apni aankho ko bhigo leti hai,
Wo Maa hi hai jo  har bar mere baare mei soch leti hai.!

Kadam behenke hai jab bhi es diniya ki raah mei,
Wo phir mujhko apni ungli pakad ke chala deti hai,
Gunah bhi mai karta hu usi se rooth bhi jaata hu,
Apni mamta se wo phir bhi mujhko khud hi mana bhi leti hai,
Wo Maa hi hai jo  har bar mere baare mei soch leti hai.!


Mai masbool hota hu kamo mei aur aane mei jab der hoti hai,
Wo apni aankho ko jaga ke meri hi khatri ghar ka darwa khol deti hai,
Uske pairo ke niche jannut hai mujhe phir bhi uski parvah nahi,
Sab jankar bhi wo phir bhi khusi se mera matha chum leti hai,
Wo Maa hi hai jo  har bar mere baare mei soch leti hai.!




Wednesday 1 May 2013

Dard-e-Bardaasht



  

       Dard hai magar enhe bardaast karna hai mujhko,
Manzil dur hi sahi magar aur chalna hai mujhko,

Dar badar bhatak raha hu mujhe iska gum nahi,
Raah chahe jitni bhi muskil ho tay karna hai mujhko,

Aaj har saks sath rahne ka irada nahi rakhta hai shayad,
Magar ,har muskil mei irada buland rakhna hai mujhko,

Khwab aankho mei hai par haqiqat kab honge malum nahi,
Par en khwabo ko haqiqat karne ka rasta dhundna hai mujhko,

Unko paane ki aash bahut kam mujhko nazar aati hai yaaro,
Magar ek baar unke dil mei mohabbat-e-diya jalana hai mujhko,

Na jane unko kya chahiye jo mujhko apne kabil nahi samjhte,
Fir bhi dil-e-mohabbat se Khud ko unke kabil banana hai mujhko,

Mai samundar paar karne chala hu aur darr dubne ka bhi hai,
Par uski khatir es samundar ko bhi paar karna hai mujhko,

Dard hai magar enhe bardaast karna hai mujhko,
      Manzil dur hi sahi magar aur chalna hai mujhko……..

Magar aur chalna hai mujhko…….. Magar aur chalna hai mujhko……..

Shikayat



Ta umr unse shikayat rahegi meri
Ke koi tha jo mujhe na samajh saka,

Ke koi tha jiske dil mei mai na bas saka,
Ke koi tha jo mere sath na chal saka,

Ke koi tha jo mera dard kam na kar saka,
Ke koi tha jo meri khatir khud na badal saka,

Ke koi tha jo mujhse chand alfaz na kah saka,
Ke koi tha jo mujhpe ek pal yakin na kar saka,

Ke koi tha jo mere khwabo ko sach na kar saka,
Ke koi tha jo mere sawalo ka jawab na de saka,


Ke koi tha jise hum taa umr hum yaad rakhenge
Aur taa umr unse shikayat rahegi meri....