Monday 22 April 2013

Rang-e-Ashq

Har bar har saks mujhko dekh ke muskrata raha,
Mai phir bhi har bar apne gum-e-dard ko samjhata raha,

Ke ye silsila yunhi taa umr meri zindagi ke saath rahega,
Esi khayal mei main bhi logo ko dekh ke muskrata raha,

Meri zindagi to berang thi ye sirf mai hi janta tha,
Main phir bhi har bar logo ki zindagi mei rang chadhata raha,

Mere chahere ka rang dekh ke log bajate rahe taaliyaan,
Aur mai apne aanshuon ko unhi rang se chhupata raha,

Har bar har saks mujhe dekh ke muskrata raha,
Main phir bhi har bar apne gum-e-dard ko samjhata raha.....











Saturday 20 April 2013

Toot-e-Dil


Na jaane kis ki mujhe hai ye talaash bata,
Na jaane kis ki mujhe hai ye talaash bata,

Maine usko hi hai chaha wo dil tod chala,

Na jaane kis ki mujhe hai ye talaash bata,
Maine usko hi hai chaha wo dil tod chala,

Jane kis ka karu mai aitbaar es gulshan mei,
Mujhe jitne bhi mile phool wo dard deta chala,

Na jaane kis ki mujhe hai ye talash bata,
Maine usko hi hai chaha wo dil tod chala,

Usne kasme bhi to khaai thi waade bhi kiye,
Zindagi saath bhi gujregi iraade bhi kiye,

Bekhabar tha mai to unse soch kar ye,
Wo to kasmo ko aur wado ko bhool chala,

Maine usko hi hai chaha dil tod chala,

Na jaane kis ki mujhe hai ye talash bata,
Na jaane kis ki mujhe hai ye talash bata,

Maine usko hi hai chaha wo dil tod chala,

Mujhko gum hargish nahi tha magar,
Uski saanso pe mai jee raha tha magar, 

Usko phir bhi meri parvaah na thi zara bhi,
Aur mujhko wo moat ke hawale chhod chala,

Maine usko hi hai chaha wo dil tod chala,
Na jaane kis ki mujhe hai ye talash bata,

Na jaane kis ki mujhe hai ye talash bata,
Maine usko hi hai chaha wo dil tod chala,

wo dil tod chala, wo dil tod chala, wo dil tod chala...

Friday 19 April 2013

Khudgarz-e-Wafa

Wo bhi ishq-e-junoo tha hamara jinpe hum jaan-o-dil lutate the,
Hum apni zindagi se bhi jyada unko bepanha chahte the,

Kiya karte the har dafa unke waado pe hum aitbaar,
Aur wo hamare jazbaato ka har waqt mazaak udate the,

Khata hua karti thi unki ye malum raha karta tha hum ko,

Hum phir bhi unki khataaon ko gairo se chhupate the,

Raakh ho gaye hum unhe phir bhi hairat na hui hume dekh kar,
Hum us waqt bhi unke kadmo pe apna sir jhukate the,


Wo bhi ishq-e-junoo tha hamara jinpe hum jan-o-dil lutate the.......


Sunday 14 April 2013

Dil-e-Maqaan

Apne dil mei ek bar ghar banane de mujhko,
Apne khwab meri aankho mei sajane de mujhko,

Gar ehsaash hai tujhe meri mohabbat ka jara bhi,
To kah do mujhse aur es khusi se khus ho jane de mujhko,

Mai ye nahi kahta ki na aazma tu mujhko har kadam pe yaha,
Magar har kadam ki aajmaies mei mere sath rah jane de khud ko,

Mujhe malum hai tere dil mei koi aur abhi rahta hai
Magar apne dil ke kisi kone mei bas jane de mujhko,

Gar tujhko juda karte hai mere alfaaz tere mahboob se,
To har baar ki tarha es bar bhi tanha rah jane de mujhko....


,