Sunday 30 June 2013

Mohabbat Ke Naam Likh Du



Chalo fir se koi shaam tere naam likh du,
Mere paas jo bhi wo sab tere naam likh du,



Mai etna bhi garib nahi hu ye jaan le tu,

Meri zindagi mere paas hai ye tere naam likh du,



Ek pal bhi thehra gham agar tere daman mei kabhi,

Apni zindagi ki har khusi tere har gham ke naam likh du,

Apni mohbbat ka yakin ab tujhko kaise dilaayen,
Ab khud ko bhi shayad tere yakin ke naam likh du,



Mai nahi kahta hu ye mohabbat kahti hai meri,

Es mohabbat ke sadke ab khud ko moat ke naam likh du….

Sunday 23 June 2013

Gehri Neend



Shayad fursat nahi tujhe mujhko manane ki,
Shayad koi wajha nahi samjhti mere ruth jane ki,

Tu mashroof hai shayad mehfil-e-shaam mei kahi,
Par ab kosish na karna mujhko kabhi waqt de jane ki,

Thak sa gaya hu ab aur chala nahi jata mujhse,
Tu bata kaha se laaun etni himmat tera intezar kar pane ki,

Bahut muskilo mei aaj gehri neend mei soya hai `Rizwan`,
Par ab kosish na karna mujhko kabhi neend se jagane ki,

Aur aaj aashma bhi roya hai mere so jane ke bad shayad,
Par wasta hai tujhe kosish na karna tu aanshu bahane ki,

Gar afsos ho tujhe to mere chehre ko dekh lena,
Mai wahi `Rizwan` hu jise kosish kabhi karti thi azmane ki,

Mai yahi chahta tha teri aazmaaish umr bhar saath rahe mere,
Mujhe bhi aaj dukh hai teri aajmaaish ko adhura chhod jane ki…


Friday 7 June 2013

Mohabbat-e-Tanhaai

Mai tanha kaha tha zamane mei yaro
Mujhe to hai loota mohabbat ne yaro

Ab jaye kaha hum kise ye sunayee
Hai dard-e-gham ye kise hum bataye

Yaha pe hai pathhar ka dil dekho yaro
Ab rahna hai muskil dilo mei bhi yaro

Meri aankho mei jo rahte the aanshu
Usi ki hi khatir ye behte the aanshu

Zara gaor se dekho en aankho ko yaro
Mai roya hu unki yaado mei yaro

Ab jeena nahi hai duniya mei mujhko
Mili ye saza hai ab marne ki mujhko

Kah do mujhe alvida mere yaro
Mai to hu tanha ab haqiqat mei yaro.....

Mai tanha kaha tha zamane mei yaro
Mujhe to hai loota mohabbat ne yaro.........


Thursday 6 June 2013

Ashrat-e-mohabbat

Abhi se meri moat ki khwahis na kar tu
Abhi to chand roj meri zindagi ke baki hai,

Aao kuchh waqt to gujaro mere sath tum
Abhi un bite huye lamho ke lamhaat baki hai,

Meri khusi ko tu hamesha samajhti rahi ulfat
Meri khusi ke teri ulfat pe abhi ehsaan baki hai,

Mai rushwa nahi teri bewafai se mujhe ranj bas etna hai
Ki teri bewafai mei meri mohabbat ke andaaz baki hai,

Mit jane de mujhko na mana abhi rakibo ke sath jashn tu
Abhi bhi en saansho mei teri mehak ke ashraat baki hai.......